Saturday, 23 April 2011

MAA



Mere Chahre ki Chamak Teri Badaulat Hoti
Kam Se Kam Itni To Acchi Meri Kismat Hoti
Jitna Likkha Hai Usi Ne Hame Izzat Dedi
Jo Na Likh Paye Woh Likhte To Qayamat Hoti
Kaun Samjhaye Yah Tanqeet Ke Shahzadon Ko
Maa Pe Hum Sher Na Kahte To Yah Shohrat Hoti




National Cong. President Sonia ghandhi ke liye meri ek nazm.....
"Mere Darwaze Pe Likkh Do Keh Yahan MAA Rehti Hai"
(fahmi zangipuri)

Ek benaam si chahat ke liye aayee thhi,
...Aap longon se mohabbat ke liye aayee thhi,
Mein bade bhudhon ki khidmat ke liye aayee thhi,
Koun kehta hai hukumat ke liye aayee thhi........
Shijraaye rang va gul va bu nahi dekha jaata,
Shak ki nazron se bahu ko nahi dekha jaata....
Rukhsati hote hi maa baap ka ghar bhul gayee,
Bhai ke cehron ko behno ki nazar bhul gayee,
Ghar ko jaati huyee har rehguzar bhul gayee,
mein woh chidyaa hun joh apna shajar bhul gayee.......
Mein toh jis desh me aayee thhi wohi yaad raha,
Hoke bewaa bhhi mujhe sirf pati yaad raha........
Nafraton ne mere chere se ujala cheena,
Joh mere paas thha woh chahne wala cheena,
Sar se bacchon keh mere baap ka saya cheena,
Mujh se girjaa bhhi liya mera shiwala cheena.......
Abb yeh takdeer toh badli bhhi nahi jaa Sakti,
Mein woh bewaa hun joh italy bhhi nahi jaa sakti......
Har dukkhe dil se mohabbat hai bahu ka zimma,
Ghar ki izzat ki hifazat hai bahu ka zimma,
Ghar ke sab longon ki khidmat hai bahu ka zimma,
Navjawani ki ibadat hai bahu ka zimma...............
Aayee bahar se magar sab ki chahiti bankar,
Woh bahu hai joh rahe saath me beti bankar..........
Aye mohabbat tujhe aaj tak koi samjha hi nahi,
Tera likkha hua shayad koi padhta hi nahi,
Ghar ko chhoda toh palat kar kabhhi dekha hi nahi,
Wapsi ke liye mein ne kabhi socha hi nahi...
Ghar ki dehliz pe kashti ko jala aayee hun,
Joh ticket thha usse dariyaa me baha aayee hun.
Apni izzat ko paraya bhhi kahin kehte hain,
Chandni ko kabhi sayaa bhhi kahin kehte hain,
Kya mohabbat ko bakayaa bhhi kahin kehte hain,
Phall ko pedhon ka kirayaa bhhi kahin kehte hain.........
Mein dulhan banke bhhi aayee issi darwaze se,
Meri arthhi bhhi utthe gi issi darwaze se..............
Aag nafrat ki bhhala mujhko jalane se rahi,
Yeh siyaasat mujhe iss ghar se bhagane se rahi,
Chhod kar sab ko musibat me toh jaane se rahi,
Utthke yeh mitti toh iss mitti se jaane se rahi,
Mein agar jaana bhhi chahoon toh na jaane degi,
Abb yeh mitti meri mitti ko na jaane degi.......................
Meri aankhon ki sharafat me yahan ki mitti,
Mere jeevan ki mohabbat me yahan ki mitti,
Meri qurbani ki taqat me yahan ki mitti,
Tooti phutti si iss aurat me yahan ki mitti......................
Kokhh me rakh ke yeh mitti isse dhanwan kiya,
Mein ne prinkiya aur rahull ko bhhi insaan kiyaa............
Mere honton pe hai bharat ki zubaa ki khushboo,
Kisi deehat ke kacche makaa ki khushboo,
Abb mere khoon se aati hai yahan ki khushboo,
Sunghiye mujhko toh mil jaye gi MAA ki khushboo.....
Bed boyaa hai toh ek din yeh mewaa dega,
Meri arthhi ko chitta bhhi mera beta degaa..................
Raam ka desh hai nanak ka watan hai bharat,
Krishnn ki dharti hai gautam ka chaman hai bharat,
Meer ka shair hai meera ka bhajan hai bharat,
Jiss ko har ek ne sajaya woh dulhan hai bharat.................
Khudh ko ek din issi mitti me bonaa hai mujhe,
Mar ke bhhi chen se bharat me hi sona hai mujhe..........
Aap longon ka bharosa hai zamanat meri,
Dhundhla dhundhla saa woh chehra hai zamanat meri,
Aap ke ghar ki yeh chiddyaa hai zamanat meri,
Aap ke bhai ka beta hai zamanat meri.....................
Hai agar dil me kisi ke koi shak nikle gaa,
Jism se khun nahi sirf namak nikle gaa.................





No comments:

Post a Comment