[From Left Legendry Urdu Poet Aalijanab Late SHAHEED SHAHEEDI Saheb Hyerabadi, SYED ABBAS MEHDI FAHMI ZANGIPURI,
Legendry Shahnai Maestro Bharat Ratna Late Dr. USTAD BISMILLAH KHAN Saheb And Legendry Urdu Poet Aalijanab AGHA SAROOSH Saheb Hyderabadi]
Hum aisey chiragon pey bharosa nahi karte jo aag lagatey hai ujala nahi karte
jibreel se maula ne kabhi khuch nahi phucha ustad hai shagird se phucha nahi karte
Allah se rozo ka sila mang key dekhe wo log jo ashoor ko faqa nahi karte
Hum dushmaney haider ko bura kahte hai
Fahmi ashabey payamber pey tabarra nahi karte.
Na bhul kar bhi kabhi tum kisi ki baat karo
Khuda ka zikr karo ya ALI ki baat karo
Sarey niyaz jhuka do ALI ke kadmo par
Gururo naaz se phir bandagi ki baat karo
Yeh baat aur hai khuch farq hi nahi padta
Khuda ki baat karo ya ALI ki baat karo
Meri lahad mein andehra yeh gair mumkin hai
Jahan ALI hain wahan roshni ki baat karo
Hain waqte naza jo bali pe aa gaye maula
kaha ki maut bas ab zindagi ki baat karo
Farishtoy kaisa sawalo jawab turbat mein
Ab aa gayey ho toh baitho ALI ki baat karo.
Ab aa gayey ho toh baitho ALI ki baat karo.
No comments:
Post a Comment