Sunday, 24 April 2011

INDIAN GOVERMENT AND DEMOCRACY



Ab Agar Azmate Kirdar Bhi gir jayegi
 aap ke sir se ye dastaar bhi gir jaye gi
 bahte dhaare toh pahaaroon ka jigar chiratee hain
 hosla kije ye diwar bhi gir jaye gi
 humse hoge na lahu sichene wale jis din
 dekhna keemate gulzar bhi gir jayegi
 sarfaroshi ka junu aap mein jaga jis din
 zulm ke haath se talwar bhi gir jayegi
 reshmi lafzon mein katil se naa baate kije
 varna shane labe guftar bhi gir jaayegi
 apne purkho ki virasat ko sambahlo varna 
ab ki baarish mein ye diwar bhi gir jayegi
 humne ye baat buzurgoo se suni hain
 fahmi zulm dhayegi toh sarkar bhi gir jayegi.
Ab Hawain hi karegi zindagi ka faisla
 jisme jitna azam hain woh diya rah jaye gaa.
Roti Ban gayi ek chaalawa peth mein pakka bhook ka lawa
 chin gaye apne muuh se niwale kaisi mitahee kaisa mawa
 hum pani ko taras rahe hain  neta kahe doodh malaayee
 baba re baba yeh mehgayee baba re baba yeh mehgayee
kaisa murga kaha ki boti  daal hain patli suki roti
har dam dar rahta hain mujko  utar na jaye kahi lagonti
 naye daur mein ulta hua sab daku ban gaye haatimtaayee 
baba re baba yeh mehgayee baba re baba yeh mehgayee
 haye qayamat hum par aayee salma bole haye re allah
 radha bole raam duaahaayee baba re baba yeh mehgayee
 baba re baba yeh mehgayee.
Main Suraj Hoon jahan ko roshni takseem karta hoon
 jise sab chand kahte hain bhiqaari hain mere dar ka
 is none other then the one and only
 the lion of all over the world.                                        
                        {FAHMI ZANGIPURI}                                        

No comments:

Post a Comment