Thursday, 28 April 2011

CURRICULUM VITAE


SYED ABBAS MEHDI FAHMI ZANGIPURI

Educational Qualifications :

Ph. D. [Banaras Hindu University (BHU), Varanasi]
M.A. [Banaras Hindu University (BHU), Varanasi]
B.A. [Banaras Hindu University (BHU), Varanasi]

Religious Academic Records

Fakhhrula Fazil [Jawwadia Arabic College, Varanasi.]
Najmula Fazil [Jawwadia Arabic College, Varanasi.]

Conferences Attended:


India:


Uttar Pradesh Lucknow All India Shia Personal Law Board Confrence 
Held At Sultanul Madaris 2011, Maharastra, Andhra Pradesh, Karnatka & Delhi etc.

Special Achievements :

Work Experience : Vice Principal in Khujwa Arabic College Siwan.
Articles & Poetry Published In : Aljawad, & Alwaiz.

Computer Applications & Skills :

Applications-WOW (NIIT): Ms Office, Tally
Skills-Diploma In H/W & N/W (NIHT): H/W & N/W

Hobbies & Strength :

Hobbies-Net Surfing, Reading Books, Listening Music.
Strength-Confident, Good Presentation, Strong Analytical & Cooperative Quality.

Personal Information :

Date of Birth: 09th May, 1984
Father’s Name : Mr. Syed Abbas Mustafa
Nationality: Indian
Language Known: Hindi, English & Urdu
Permanent Address: MM. 8, Ganga Nagar Colony,
Bhadhu Chungi, Rajghat, Varanasi-221001
Mob. – 9389054103

Wednesday, 27 April 2011

FAHMI ZANGIPURI

                                                                    

[From Left Legendry Urdu Poet Aalijanab Late SHAHEED SHAHEEDI Saheb Hyerabadi, SYED ABBAS MEHDI FAHMI ZANGIPURI, 
Legendry Shahnai Maestro Bharat Ratna Late Dr. USTAD BISMILLAH KHAN Saheb And Legendry Urdu Poet Aalijanab AGHA SAROOSH Saheb Hyderabadi]




Hum aisey chiragon pey bharosa nahi karte jo aag lagatey hai ujala nahi karte
jibreel se maula ne kabhi khuch nahi phucha ustad hai shagird se phucha nahi karte
Allah se rozo ka sila mang key dekhe wo log jo ashoor ko faqa nahi karte
Hum dushmaney haider ko bura kahte hai
Fahmi ashabey payamber pey tabarra nahi karte.
                                                                                                              
  Na bhul kar bhi kabhi tum kisi ki baat karo
 Khuda ka zikr karo ya  ALI ki baat karo
Sarey niyaz jhuka do ALI ke kadmo par
Gururo naaz se phir bandagi ki baat karo
Yeh baat aur hai khuch farq hi nahi padta
Khuda ki baat karo ya ALI ki baat karo
Meri lahad mein andehra yeh gair mumkin hai 
Jahan ALI hain wahan roshni ki baat karo
Hain waqte naza jo bali pe aa gaye maula 
kaha ki maut bas ab zindagi ki baat karo

Farishtoy kaisa sawalo jawab turbat mein
Ab aa gayey ho toh baitho ALI ki baat karo.









FAHMI ZANGIPURI


Tuesday, 26 April 2011

FAHMI ZANGIPURI

                                      
  With Grand Father Aalijanab Syed Abbas Husain Sahab  
  Zangipuri And Bharat Ratna Dr. Ustad   Bismillah Khan Saheb.                                                                
   








                                                                     
  With Grand Father Aalijanab Syed Abbas Husain Sahab 
         Zangipuri And Legendry Urdu Poet Aalijanab  
                   Padamshri Nazeer Banarsi Saheb.
               
  
                                                                                               
   
  
   




                                                
   With Grand Father Aalijanab Syed Abbas Husain Saheb      
   Zangipuri And Lords Swaleh Ansari Saheb-  
                           Ex. Mayor Varanasi.                                                                                                                                     
  

Monday, 25 April 2011

MANZAR BHOPALI sitam karoge sitam kareinge jo tum karoge woh hum kareinge


ANTI-TERROISM





Saal Bhar Chapti Hain Bidat Ki Kitaba Jitni. 
Utna Ham Bachchoon Ko Das Din Main Sikha Dete Hain.


Itni Doulat Hi Kahaan Tere Khazane Main Yazeed. 
Jitna Hum Shah Ke Azadaar Luta Dete Hain.

MAA NAZAM BY RAZA SIRSVI SAHAB







MAA NAZAM OF JANAB RAZA SIRSVI SAHAB
INTRODUCTION:-





RAZA SIRVI IS A VERY FAMOUS PEOT OF SIRSI. HIS FULL NAME IS SYED NOSHE RAZA NAQVI. HE BORN IN 1943 IN SIRSI. HE HAVE WRITTEN FOUR BOOKS WHICH ARE FOLLOWING 1.MAA 2.MADAR-E-MAHARBAAN 3. WASIL-E-HAYAT(MAA AUR BAAP) 4.AMANT-E-MAA(AZADARI) ...AND HIS FIFTH BOOK BAHAN WILL BE SOON










                                            MAA                                                        




            Mout Ki Aaghosh Main Jab Thak Ke Soo Jati Hai                                        

Tab Kaheen Ja Kar 'Raza' Thora Sukoon Pati Hai Maa


Fikr Main Bachoon Ki Kuch Is Terha Ghul Jati Hai Maa
Nojawaan Hotay Huwe Boodhi Nazar Aati Hai Maa


Rooh Ke Rishtay Ki Yeah Gehrayean To Daikheye
Choot Lagti Hai Humaray Aur Chillati Hai Maa


Oadthi hai hasrathoan ka khudtho bosida kafan
chahatoan ka payrahan bachoan ko pehnathi hai maa


Ek ek hasrath ko apne azm wo istekhal se
Anso'oan se ghusl de ker khud hi dhafna thi hai maa


Bhuka rehne hi nahi dethi yateemon ko khabhi
Jane kiskis se kahan se mang kar lati hai maa


Haddiyoon Ka Ras Pila kar Apnay Dil Ke Chain Ko
Kitnee Hi Ratoon Mai Khali Pait Soo Jati Hai Maa


Jane Kitne Barf Si Ratoon Me Aysa Bhi Hua
Bacha To Chaati Pe Hai Gelay Main Soo Jati hai Maa


Jab Khilone Ko Machalta Hai Koie Ghurbat Ka Phool
Aansoon Ke Saaz Par Bachay Ko Behlati Hai Maa


Fiker Ke Shamshaan Me Aakhir Chitaoon Ki Terha
Jaisai Sookhi Lakdeyaan, Is Terha Jal Jati Hai Maa


Bhook se majboor ho kar mahmaan kai samne
mangtai bachche jab roti to sharmati hai Maa


Zindigi ki siskiyaan sun kar hoos ai shahar se
Bhookai bachchoon ki giza apna kafan lati hai Maa


Muflisi bache ki zid par jab uthaleti hai haath
Jaisai ho mujrim koi is tarha sharmati hai maa


Apnay Aanchal Se Gulabi Aansuoon Ko Poonch Kar
Dair Tak Gurbat Pe Apne Ashk Barsati Hai Maa


samne Bachoon Ke Khush Rahti Hai Har Ik Haal Main
Raat Ko Chup Chup Ke Laikin Ashk Bersati Hai Maa


Kab Zarurat Ho Meri Bachay Ko Itna Sooch Kar
Jaagti Rehti Hain Aankhain Aur Soo Jati Hai Maa


Pehlay Bachoon Ko Khilati Hai Sukoon-o-Chain Se
Baad Mai Jo Kuch Bacha ho Shouk Se Khati Hai Maa


Mangti Hi Kuch Nahi Apnai Leye ALLAH Se
Apnai Bachoon Ke Leye Daman Ko Phailati Hai Maa


De ek bimaar bachche ko duain aur dwa
paainti hi rakh kai sar kadmoon pa so jati hai Maa


Jane Anjane me hojaye jo bachoan se khusoor
Ek anjaani sazaa ke dar se tharrathi hai maa


Gar Javan Baiti Ho Ghar Main Aur Koie Rishta Na Ho
Ek Naye Ehsas Ki Suli Pe Chard Jati Hai Maa


Har Eebadat Har Mohabbat Mai Nihan Hai Ek Gharaz
Be-Gharaz, Be-Lous, Har Khidmat Ko Kar Jati Hai Maa


Apne bachoan ki bahaar-e-zindagi ke waste
Ansooan ke phool har mausam me barsati hai maa


Zindigi bhar beenti hai khaar rahe zeest se
jate jate naimate firdos de jati hai Maa


Bazuwoon Me Khinch Ke Aajayegi Jaise Kayenat
Apnai Bachay Ke Leye Bahoon Ko Phailati Hai Maa


Ek ek hamle se bachche ko bahanai kai liya
Dhall banti hai khabhi talwar baan jati hai Maa


Zindagani Ke Safar Me Gardishoon Ki Dhoop Mai
Jab Koie Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hai Maa


Pyar Kehtai Hain Kise Aur Mamta Kya Cheez Hai
Koie Un Bachoon Sai Poocheye Jin Ki Mar Jati Hai Maa


Pehle dil ko saaf karkai khoob apnai khoon se
dharkanoo pa kalma-e-tawheed likh jati hai Maa


Safha-e-Hasti Pe Likhti Hai Usool-e-Zindagi
Is Liye Ek Maktab-e-Islam Kehlati Hai Maa


Us Nayi Duniya Ko Diye Masoom Rahber Is Leye
Azmatoon Me Sani-e-Quran Kehlati Hai Maa


Ghar Se Jab Pardes JaTa Hai Koie Noor-e-Nazar
Haath Main Qur'an Le Kar Dar Pe Aajati Hai Maa


De Ke Bachay Ko Zamanat Main Raza-e-Pak Ki
Peechay Peechay Sar Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa


Kanpti Aawaz Sai Khaiti Hai "Baita alwida"
Samne Jab Tak Rahe Haatoon Ko Lehrati Hai Maa


Ris ne lagta hai poranai zakhm se taza lahoo
Hasratoon ki bolti tasveer ban jati hai Maa


Jab Parayshani Me Ghir Jate Hain Hum Pardes Me
Aansuwoon Ku Poanch Ne Khwaboon Main Aajati Hai Maa


Lout kai wapas safar se jab bhi ghar aate hain hum
Daal kar bahain gale main sar ko sehlati hai Maa


Aisa lagta hai kai jaise aagai firdoos main
bhinch kar bahoon main jab seenai se liptati hai Maa


Dair Ho Jati He Ghar Aane Main Aksar Jab Hamain
Rait Per Machli Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa


Marte Dam Bacha Na aapaya agar Pardes Se
Apni Donoo Putliyaan Chokhat Pe Rakh Jati Hai Maa


Baad Mar Janai Ke Phir Baite Ki Khidmat Ke Leye
Bhes Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa


Hum balaoon main kahin ghirtai hain to be iktiyaar
khair ho bachche ki kah kai dar pa aa jati hai Maa


Door ho jata hai jab aankhoon se godi ka pala
Dil ko hathoon se pakar kai ghar ko aa jati hai Maa


Doosrai hi din se rahti hai khatoon ki muntazir
Dar pa aahat ho hwa se bhi to aa jati hai Maa


Chahe hum khushyoun me maa ko bhool jayen doasto
Jab musibat sar pe aati hai tho yaad aati hai maa


Door Ho Jati Hai Sari Omr Ki Us Dum Thakan
Biyah Kar Betay Ka Jab Ghar Bahu Lati Hai Maa


Cheen lati hai wohi aksar sukoon-e-zindagi
Pyar se dhulhan bana kar jis ko ghar lati hai maa


Phair laitai hai nazar jis waqt baita aur bahu
ajnabi apne hi ghar hai baan jati hai Maa


Hamne ye bhi tho nahi soachan alaag hone ke baad
Jab diya hi khuch nahi ham ne tho kya khati hai maa


Zabt tho dakho ke itni berukhi ke baujood
Bad dua deti hai hargis aur na pashtati hai maa


Allah Allah bhool kar ek sitam ko raat din
pooti poote se shakista dil ko behlati hai Maa


Baita kitna hi bora ho par parosan kai hozoor
Rook kar jazbaat ko baitai kai gun gati hai Maa


Shadiyaan kar kar kai bachche ja basai pardes mai
dil khatoon se aur tasveeron se bahlati hai Maa


Apne sinai par rakhai hai kainatai zindigi
Ye zamin is wastai ae dost kahlati hai Maa


Saal bhar me ya khabhi hafte me jumeraat ko
Zindagi bhar ka sila ek Fateha pati hai maa


Gumraahi ki gard jam jai na merai chand par
Barishe imaan main yoon roz nehlati hai Maa


Apne pehlu me lita kar roz thouthe ki tarha
Eik barah panch chouda ham ko ratwati hai maa


Umr bhar ghafil na hona matame Shabbir se
Raat din apne amal se hamko samjati hai maa


Martaba maa ka ho zahir is liye firdos se
apne bachchon kai liya poshaaq mangwati hai Maa


Yaad aata hai shab-e-ashoor ka kadyal jawan
Jab khabi uljhi huyi zulfon ko suljhati hai maa


se pehle jaan dena Fatima ke lal par
Raat bhar Aun-o-Mohd ko ye samjhati hai maa


Jab talak ye haath hai humsheer bai parda na hoo
Ek bahadur bawafa baitai se farmati hai Maa


Nawjawan baita agar dam toor de agoosh main
Zindigi bhar sar ko diwaroon se takrati hai Maa


Fatima ke lal par qurban kar ne ke liye
Baandh kar sehra jawan bete ko leati hai maa


khoon mai dobai hue aatai hai jab sahrai kai phool
Ek ek tookre ko apne dil se liptati hai Maa


Laashe Qasim par kaha zinda rahi to awoongi
Ab to sooai Shaam dolhan ko liya jati hai Maa


Laash par baite ki parhti hai jawai marsiya
shukr ka sajda is alam main baja lati hai Maa


Allah Allah ithehade sabre Laila-o- Hussain
Baap ne khenchi sinah, sine ko sehlati hai maa


Ye bata sakti hai hum ko bus Rabab-e-Khastatan
Kis tarha bin doodh ke bache ko behlati hai maa
                                        

Sunday, 24 April 2011

TRUTH ABOUT ANNA HAZARE



Chor Darwaze Se Aana Hai To Dharna Mat Do.
Party Apni Banana Hai To Dharna Mat Do.
Bil Koi Paas Karana Hai To Dharna Mat Do.
Ab Koi Doosra  Gandhi Naheen Paida Hoga.
Daish Aazaad Karana Hai To Dharna Mat Do.

Hath Modi Se Milana Hai To Dharna Mat Do.
Daish Gujraat Banana Hai To Dharna Mat Do.
Mulk Mai Aag Lagana Hai To Dharna Mat Do.
Sirf Topi Se Nahin Banta Hai NEHRU Koi.
Bharashtrachaar Mitana Hai To Dharna Mat Do.

Raajniti Mai Jo Aana Hai To Dharna Mat Do.
Jhooth Ko Sach Jo Batana Hai To Dharna Mat Do.
Ullu Janta Ko Banana Hai To Dharna Mat Do.
Bhookh Hadtaal Se Hoga Naheen Bharat Ka Bhala.
Apni Power Jo Banana Hai To Dharna Mat Do.

Daish Se Pyar Jatana Hai To Dharna Mat Do.
Chanda Public Se Jutana Hai To Dharna Mat Do.
Pyar Jhutha Hi Jatana Hai To Dharna Mat Do.
SMS Se Nahin Hota Yahaan Leader Ka Chunaav.
Kursi Dilli Main Jo Pana Hai To Dharna Mat Do.
Tum To ANNA Ho Yahan aur Hazare hoge
Desh Mitti mein milana hai toh dharna mat do


Luthti Hui Ismat Wa Makanaat Ke Manzar.
Zehnoon Ko Jhinjhodhe Hain Fasadaat Ke Manzar.
Us Waqt Kahaan Soey The Ye ANNA HAZARE.
Jab Khoon Ugalte Rahe GUJRAT Ke Manzar.
 


        ANNA DON’T PLAY GAMES WITH
        INNOCENT PEOPLES OF INDIA

                     {FAHMI ZANGIPURI}
                                                                                                              
       
                               

                                                 
                                                        
                      
               

INDIAN GOVERMENT AND DEMOCRACY



Ab Agar Azmate Kirdar Bhi gir jayegi
 aap ke sir se ye dastaar bhi gir jaye gi
 bahte dhaare toh pahaaroon ka jigar chiratee hain
 hosla kije ye diwar bhi gir jaye gi
 humse hoge na lahu sichene wale jis din
 dekhna keemate gulzar bhi gir jayegi
 sarfaroshi ka junu aap mein jaga jis din
 zulm ke haath se talwar bhi gir jayegi
 reshmi lafzon mein katil se naa baate kije
 varna shane labe guftar bhi gir jaayegi
 apne purkho ki virasat ko sambahlo varna 
ab ki baarish mein ye diwar bhi gir jayegi
 humne ye baat buzurgoo se suni hain
 fahmi zulm dhayegi toh sarkar bhi gir jayegi.
Ab Hawain hi karegi zindagi ka faisla
 jisme jitna azam hain woh diya rah jaye gaa.
Roti Ban gayi ek chaalawa peth mein pakka bhook ka lawa
 chin gaye apne muuh se niwale kaisi mitahee kaisa mawa
 hum pani ko taras rahe hain  neta kahe doodh malaayee
 baba re baba yeh mehgayee baba re baba yeh mehgayee
kaisa murga kaha ki boti  daal hain patli suki roti
har dam dar rahta hain mujko  utar na jaye kahi lagonti
 naye daur mein ulta hua sab daku ban gaye haatimtaayee 
baba re baba yeh mehgayee baba re baba yeh mehgayee
 haye qayamat hum par aayee salma bole haye re allah
 radha bole raam duaahaayee baba re baba yeh mehgayee
 baba re baba yeh mehgayee.
Main Suraj Hoon jahan ko roshni takseem karta hoon
 jise sab chand kahte hain bhiqaari hain mere dar ka
 is none other then the one and only
 the lion of all over the world.                                        
                        {FAHMI ZANGIPURI}                                        

IMAM HUSSAIN (AS)



kuch dair farz kijiyai ye majlisain na hoon

sara jahan Hussain(as) ka qatil dikhayee de


Bus is liye Aziz hai yeh zindagi hume

hum mar  ke phir Hussain (as) ko rone na payege.

Saturday, 23 April 2011

Alla humma Lan qatalatal Ameeral Momineen (a.s)


Ye kis ne keh dia tum se k chup chupa k piyo
Sharab-e-ishq ALI(a.s) hai Dikha dikha k piyo.
Jo jal raha hai mawadat k jam pene se.
Hy tm pe farz Ke usko jala jala k piyo..!!


Har Ek Shaqs Ye bola yazeed murdabad
pilao jame tabarra yazeed murdabad
haramzade ko kahte ho kyon raziallah
hatao kufr ka parda yazeed muradabad
          
                 {FAHMI ZANGIPURI}